amir-e-shahr tujhe kab dhyan mera hai
na.i saḌak pe purana makan mera hai
zamin ke chand-numaon ki haisiyat kya hai
ki chand hai jo sar-e-asman mera hai
ab intizar hai kis ka uchhaliye sikka
yaqin aap ka hai aur guman mera hai
tiri kitab-e-badan ka main pahla qaari huun
jahan jahan bhi laga hai nishan mera hai
kisi ko alvida.a kahna hai muskurate hue
bahut kaḌa hai magar imtihan mera hai
main apne naam se pahchana jaata huun ‘hashim’
koi qabila hai na ḳhandan mera hai
Leave a Reply