rahi dil ki dil men zaban tak na pahunchi
mohabbat ki duniya bayan tak na pahunchi
basera raha us ka sehn-e-chaman men
magar ye bahar ashiyan tak na pahunchi
unhen khvab men bhi na dhyan aaya mira
ye ruh-e-haqiqat guman tak na pahunchi
shab-e-gham mira dil tha suuli pe lekin
tamanna sarishk-e-ravan tak na pahunchi
baharon ka to zikr hi kya karun main
gulistan-e-dil men khizan tak na pahunchi
tasavvur se aage takhayyul se aage
mire dil ki vahshat kahan tak na pahunchi
rahi mahv tauf-e-chaman ‘barq’ aksar
magar vo mire ashiyan tak na pahunchi
Leave a Reply