bahuton ne jise arsh pe be-jan men dekha
ham ne to use jite-ji is jaan men dekha
majnun tha ham-aghosh liye laila ko apni
yaaro ye tamasha main bayaban men dekha
jaave bhi phir aave bhi ka.i shakl se har baar
chakkar men kahan par ye maza taan men dekha
faaqa hi rahe roz na kuchh khana na piina
ye daur main ne hazrat-e-ramazan men dekha
sab raat laḌen TonTe chhachhundar ki laḌa.i
bhaunchappa main ne chhuTte shaban men dekha
go meve hazaron hain aur hain ne.amaten lakhon
par sab se saris ham ne maza naan men dekha
har sher taḌaqe ka har ik baat tamasha
aisa to main ne sauda ke divan men dekha
har nafs ko hairan kare sovte jagte
is fan ko main ne hazrat-e-shaitan men dekha
kuchh baat kahe hans ke to jhaḌte hain nire phuul
lahza ye tire is lab-e-ḳhandan men dekha
hanste hi kare der na laḌte hi kare der
ye taur tira tiflak-e-nadan men dekha
go sarv tire qad ka sa mauzun to nahin hai
par kahne ko lachar main bustan men dekha
jo chah-e-zanaḳh biich gira phiir na nikla
aisa to ka.i baar main har aan men dekha
kuche ka gaya tere koi phirta nahin hai
main ḳhuub hi kar ghaur gareban men dekha
tujh chashm ki tashbih ko nargis ka zikar kya
sau baar use main ne gulistan men dekha
Leave a Reply