ghair hanste hain faqat is liye tal jaata huun
main bayabanon men rone ko nikal jaata huun
josh vahshat ka hua mausam-e-gul aa pahuncha
kuchh dinon hosh men rahta huun sambhal jaata huun
apni rukhsat hai buton se bhi ab insha-allah
dair se su-e-haram aaj hi kal jaata huun
kucha-e-qatil-e-be-rahm jise kahte hain
main vahan daud ke mushtaq-e-ajal jaata huun
jab nikalne nahin dete hain mujhe zindan se
apne aape se main na-char nikal jaata huun
ghair albatta tire paanv men malte hain hina
main to aa kar kaf-e-afsos hi mal jaata huun
main jo rota huun to kahta hai na kar bad-shaguni
baat kahta hai vo aisi ki dahal jaata huun
dost hota hai to hota hai vo dushman ai ‘mehr’
vo badal jaata hai ya kuchh main badal jaata huun