mukhtasar si baat ko bhi masala kahte rahe
zindagi men aap ko kyuun rahnuma kahte rahe
be-vafa hone ka fatva de diya un ne hamen
umr-bhar jin ke sitam ko ham vafa kahte rahe
kar diya mismar un ne ek pal men qasr-e-dil
jin ke khasta ghar ko bhi ham khush-numa kahte rahe
har ghadi har vaqt har pal har jagah be-khauf ham
vo hamare the hamare hain sada kahte rahe
dhire dhire chal diye us raah par ham bhi ‘sabin’
rat-din sab jis ko gham ki karbala kahte rahe
Leave a Reply