pul-e-sirat na tha dasht-e-nainava bhi na tha
tumhara hijr magar ham se kaT raha bhi na tha
na-jane kyuun tumhen ik ik ḳharash janti thi
har ek zaḳhm tumhara diya hua bhi na tha
bandhe hue the ka.i ahd gar karo mahsus
karo jo yaad to va.ada koi hua bhi na tha
dua salam to rakhni thi tere kuche se
vagarna tujh se to milne ko dil kiya bhi na tha
main ab bhi un ujḌi hui bastiyon ko rota huun
jahan pe koi Thikane ka ashna bhi na tha
Leave a Reply