dil bujh gaya nigah-e-ḳharidar dekh kar
ya.ani havas ki garmi-e-bazar dekh kar
dekha nigah-e-qahr se davar ne roz-e-hashr
phir hans paḌa vo shakl-e-gunahgar dekh kar
nazuk se haath narm kala.i zara sa dil
hansta huun un ke hathon men talvar dekh kar
gardish pe ho gaya tha bahut asman ko naaz
chakkar men aa gaya tiri raftar dekh kar
roki ga.i na katib-e-taqdir se hansi
teri zaban pe vasl ka iqrar dekh kar
paida hui hai tark-e-mohabbat ki aarzu
har bul-havas ko us ka ḳharidar dekh kar
har roz zindagi na.i milti hai ishq men
marta huun varna main unhen har baar dekh kar
‘sahir’ buland-o-past se thi shaaq rah-ravi
dil munfa.il hai raah ko hamvar dekh kar
Leave a Reply