jo shaḳhs ab-o-hava par yaqin rakhta hai
vo mausamon ki ata par yaqin rakhta hai
tamam umr mohabbat nahin mili jis ko
suna hai vo bhi ḳhuda par yaqin rakhta hai
charagh us ka kabhi bhi jala nahin lekin
vo aaj tak bhi dua par yaqin rakhta hai
hamesha TuuT ke aata hai mere pahlu men
vo bevafa bhi vafa par yaqin rakhta hai
koi gharaz nahin us ko kisi saḳhavat se
faqir apni sada par yaqin rakhta
hazar us ko sahare milen magar ‘sahil’
na-bina apne asa par yaqin rakhta hai
Leave a Reply