jiye ja raha huun tujhe yaad kar ke
tasavvur ki duniya ko abad kar ke
pasheman hain ham arz-e-rudad kar ke
karam hi kiya tum ne be-dad kar ke
mujhe is ki mutlaq shikayat nahin hai
sitam par sitam laao ijad kar ke
kahan rahiye apnon se kar ke kinara
mila kya hai ghairon se fariyad kar ke
hamen vasta aise sayyad se hai
ki jo said rakhta hai azad kar ke
bura kar rahe hain tira naam le kar
ḳhata kar rahe hain tujhe yaad kar ke
mohabbat si shai us ne mujh ko ata ki
ki ḳhush ḳhush chalun umr barbad kar ke
jo chaho shumar apna ahl-e-suḳhan men
paḌho sher ‘rahbar’ ko ustad kar ke
Leave a Reply