jab dil ki rahguzar pe tira naqsh-e-pa na tha
jiine ki aarzu thi magar hausla na tha
aage harim-e-gham se koi rasta na tha
achchha hua ki saath kisi ko liya na tha
daman-e-chak chak-gulun ko bahana tha
varna nigah-o-dil men koi fasla na tha
kuchh log sharmsar khuda jaane kyuun hue
un se to ruh-e-asr hamen kuchh gila na tha
jalte rahe khayal barasti rahi ghata
haan naz-e-agahi tujhe kya kuchh rava na tha
sunsan dopahar hai bada ji udaas hai
kahne ko saath saath hamare zamana tha
har aarzu ka naam nahin abru-e-jan
har tishna-lab jamal-e-rukh-e-karbala na tha
andhi men barg-e-gul ki zaban se ‘ada’ hua
vo raaz jo kisi se abhi tak kaha na tha
Leave a Reply