husn-e-bazar to hai garmi-e-bazar nahin
bechne vaale hain sab koi kharidar nahin
aao batlaen ki vaadon ki haqiqat kya hai
ped unche hain sabhi koi samar-dar nahin
dil ki uftad mizaji se pareshan huun main
thi talab jis ki ab us ka hi talabgar nahin
ab jise dekho vahi ghuum raha hai bandhe
dastiyab ab kisi dukan pe dastar nahin
ai zulekha tu ne jo daam lagaya ab ke
us pe yusuf to koi bikne ko tayyar nahin
asman chhat hai zamin farsh kushada hai makan
mera ghar vo hai ki jis ke dar-o-divar nahin
hai sukhan-fahmi ka har shakhs ko daava lekin
kaun aisa hai jo ‘ghalib’ ka taraf-dar nahin
ai ‘kamal’ aise men kya lutf-e-safar paoge
raah men dhuup nahin sang nahin khaar nahin
Leave a Reply