mujh ko duniya ki tamanna hai na diin ka lalach
haae lalach hai to ik mah-jabin ka lalach
ishq-bazi pe suna mujh ko malamat na karo
haif hai jis ko na ho tum se hasin ka lalach
halat-e-qalb sar-e-bazm bataun kyunkar
parda-e-dil men hai ik parda-nashin ka lalach
jab yahin taish men guzre to vahan kya ummid
na raha is liye ham ko to kahin ka lalach
boriya takht-e-sulaiman se kahin behtar hai
ham gharibon ko nahin taj-o-nagin ka lalach
na main duniya ka talabgar na uqba ki havas
asmanon ki tamanna na zamin ka lalach
dil bhi do jaan bhi do zar bhi do us ko ‘parvin’
badh gaya sab se mire mah-jabin ka lalach
Leave a Reply