dar pe hain log yuun miri laghar si jaan ke
kutte hon jaise aah mire ustuḳhvan ke
zahid sambhaliye yahan dastar-e-mo’atabar
bachche sharir hote hain pir-e-mughan ke
ik chand hai ki jaan na paaya hamen kabhi
taare to varna jante hain asman ke
taare to ham samajhte hain ḳhud ko yahan magar
miTTi ke putle hain sabhi ham ḳhak-dan ke
‘havi’ ke main kalam ki tarif kya karun
ḳhadim hain bas janab vo urdu zaban ke
Leave a Reply