ik dil men tha ik samne dariya use kahna
mumkin tha kahan paar utarna use kahna
hijran ke samundar men hayula tha kisi ka
imkan ke bhanvar se koi ubhra use kahna
ik harf ki kirchi mire siine men chhupi thi
pahron tha koi tuut ke roya use kahna
muddat hui khurshid gahan se nahin nikla
aisa kahin taara koi tuuta use kahna
jaati thi koi raah akeli kisi janib
tanha tha safar men koi saaya use kahna
har zakhm men dhadkan ki sada guunj rahi thi
ik hashr ka tha shor-sharaba use kahna
Leave a Reply