ḳhun-e-tamanna rang laaya ho aisa bhi ho sakta hai
tanha.i men vo roya ho aisa bhi ho sakta hai
sab ke chehre par chehra tha main kis ko apna kahta
koi mujhe bhi DhunD raha ho aisa bhi ho sakta hai
jis ne mera ghar luTne men choron ki aguva.i ki
vo mera hi ham-saya ho aisa bhi ho sakta hai
mahfil hai angusht-ba-dandan ahl-e-nazar par riqqat taari
sher karishma kar hi gaya ho aisa bhi ho sakta hai
bhiiḌ men us ko main ne dekha dekh liya tha us ne bhi
ya phir nazron ka dhoka ho aisa bhi ho sakta hai
daulat shohrat aani jaani phir is par itrana kya
paani par ye naam likha ho aisa bhi ho sakta hai
apni kahani jaan ke yaaro nahaq aankh bhigote ho
us ka gham bhi tum jaisa ho aisa bhi ho sakta hai
vaqt ki dhuup kaḌi hai ‘ghazi’ danaon ki basti men
barf sa chehra sulag raha ho aisa bhi ho sakta hai
Leave a Reply