hain dahan ghunchon ke va kya jaane kya kahne ko hain
shayad us ko dekh kar salle-ala kahne ko hain
vasf-e-chashm o vasf-e-lab us yaar ka kahne ko hain
aaj ham dars-e-isharat-o-shifa kahne ko hain
aaj un se muddai kuchh muddaa kahne ko hain
par nahin malum kya kahvenge kya kahne ko hain
jo vo qad-qamat sada kahne ko hain
aur ashiq vasf-e-qad-qamat tira kahne ko hain
puchh aa qatil se to vo kab karega ham ko qatl
aaj ham tarikh-e-marg aap ai qaza kahne ko hain
main tire hathon ke qurban vaah kya maare hain tiir
sab dahan-e-zakhm munh se marhaba kahne ko hain
vo janaze par mire kis vaqt aae dekhna
jab ki izn-e-am mere aqriba kahne ko hain
Leave a Reply