Hashr Tak Yan Dil Shakeba Chahiye

hashr tak yaañ dil shakebā chāhiye

kab mileñ dilbar se dekhā chāhiye

hai tajallī bhī naqāb-e-rū-e-yār

us ko kin āñkhoñ se dekhā chāhiye

ġhair-mumkin hai na ho tāsīr-e-ġham

hāl-e-dil phir us ko likkhā chāhiye

hai dil-afgāroñ kī dildārī zarūr

gar nahīñ ulfat madārā chāhiye

hai kuchh ik baaqī ḳhalish ummīd kī

ye bhī miT jaa.e to phir kyā chāhiye

dostoñ kī bhī na ho parvā jise

be-niyāzī us kī dekhā chāhiye

bhā ga.e haiñ aap ke andāz o naaz

kījiye iġhmāz jitnā chāhiye

shaiḳh hai in kī nigah jaadū bharī

sohbat-e-rindāñ se bachnā chāhiye

lag ga.ī chup ‘hālī’-e-ranjūr ko

haal is kā kis se pūchhā chāhiye

Leave a Comment