Ghami KHushi banTi Thi Apne Bistar Se

ġhamī ḳhushī bāñTī thī apne bistar se

merī ham-safarī thī apne bistar se

chaar taraf resham thā us meñ ulajh ga.ī

mushkil se phir bachī thī apne bistar se

silvaT silvaT taare karte hue shumār

sehr-misāl utrī thī apne bistar se

nīndeñ palak meñ bhar kar ruī kī mānind

idhar udhar bhaTkī thī apne bistar se

jañgal kī jānib phir havā ne kuuch kiyā

kyā vo tañg paḌī thī apne bistar se

pañkhe par ābād gharauñdā chiḌiyā kā

ajab hī manzar-kashī thī apne bistar se

Leave a Comment