koi jaadu jagana chahta huun
tumhen apna banana chahta huun
agar ik baar tum avaz de do
to main bhi lauT aana chahta huun
tumhare shahr men Duuba hai suraj
musafir huun Thikana chahta huun
tumhin ko jitne ki aarzu hai
tumhin se haar jaana chahta huun
tumhare saath is duniya se kuchh duur
na.i duniya basana chahta huun
dukhon se kaun duniya men bacha hai
magar tum ko bachana chahta huun
nihayat tez hain dariya ki maujen
magar us paar jaana chahta huun
abhi kuchh log hain us paar mere
bacha kar un ko laana chahta huun
yahin hathon se chhuTi thi kala.i
yahin ab Duub jaana chahta huun
lahu dene ka mausam ja chuka hai
ab apna ab-o-dana chahta huun
isi shishe se jo TuuTa hua hai
main ik ḳhanjar banana chahta huun
‘sana’ is mahfil-e-sher-o-suḳhan men
ghazal main bhi sunana chahta huun
Leave a Reply