man ke angan men ḳhayalon ka guzar kaisa hai
ye chahakta hua viran sa ghar kaisa hai
mera maazi jahan bikhra sa paḌa hai har su
ab vo pipal ke tale ujḌa khanDar kaisa hai
saḳht pathrav tha kal raat tiri basti men
din nikalne pe ye dekhenge ki sar kaisa hai
jaan dena hai hamen ek shivale ke qarib
aap batla.en zara aap ka dar kaisa hai
dil ke madfan men ‘tapish’ dafn hai ehsas ka jism
tum ne chhoḌa jise dekho vo nagar kaisa hai
Leave a Reply