ruuh men ghor andhere ko utarne na diya
ham ne insan men insan ko marne na diya
tere baad aisi bhi tanha.i ki manzil aa.i
ki mira saath kisi rahguzar ne na diya
kaun tha kis ne yahan dhuup ke badal barsa.e
aur tire husn ki chandi ko nikharne na diya
pyaas ki aag lagi bhuuk ki andhi uTThi
ham ne phir jism ka shiraza bikharne na diya
zindagi kashmakash-e-vaqt men guzri apni
din ne jiine na diya raat ne marne na diya
ashk barsa.e kabhi ḳhuun bahaya ham ne
gham ka dariya kisi mausam men utarne na diya
Leave a Reply