ab tak sharik-e-mahfil-e-aghyar kaun hai
ham bevafa hue to khata-var kaun hai
yaan sab ko mil gae hain sahare ba-qadr-e-shauq
tum sochte rahe ki talabgar kaun hai
nazron ne kis ki chaak kiye parda-ha-e-rang
sanvla diya hai jis ne rukh-e-yar kaun hai
daman hazar chaak gareban hazar va
ye dekhna hai kitna gunahgar kaun hai
Leave a Reply