• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Siskiyan Leti Hui Ghamgin Hawao Chup Raho

Siskiyan Leti Hui Ghamgin Hawao Chup Raho

siskiyan leti hui ghamgin havao chup raho

so rahe hain dard un ko mat jagao chup raho

raat ka patthar na pighlega shuaon ke baghair

sub.h hone tak na bolo ham-navao chup raho

band hain sab mai-kade saaqi bane hain mohtasib

ai garajti gunjti kaali ghatao chup raho

tum ko hai malum aḳhir kaun sa mausam hai ye

fasl-e-gul aane talak ai ḳhush-navao chup raho

soch ki divar se lag kar hain gham baiThe hue

dil men bhi naghma na koi gungunao chup raho

chhaT ga.e halat ke badal to dekha ja.ega

vaqt se pahle andhere men na jaao chup raho

dekh lena ghar se niklega na ham-saya koi

ai mire yaaro mire dard-ashnao chup raho

kyuun sharik-e-gham banate ho kisi ko ai ‘qatil’

apni suuli apne kandhe par uThao chup raho

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

taDap Kali Ki Hai Ye Ishrat-E-Numu Ke Liye

TuTte Hi Dam Diyon Ka Ek Dhuan Paida Hua

Is Shahr-E-Be-Aman Mein Aman Chahiye Mujhe

Karte Phirte Hain Ghazalan Tera Charcha Sahab

Hawas luT Liye Shorish-E-Tamanna Ne

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet