zindagi kya hai tamannaon ka khara paani
har koi pi ke yahan mange dobara paani
ham hain vo jin ki nigahon ne kuchal Daala furat
kaun hain jin ke labon par hai ye na.ara paani
ka.i dariya miri ankhon se ravan hone lage
us ne jab ḳhvab men ik baar pukara paani
koi sailab umaDta tha ghaḌi se har din
vaqt ki shakl men ham ne to guzara paani
faisla us ne juda.i ka sunaya to laga
jaise sahra men koi pyaas men haara paani
is liye log sulagte hi yahan karbal men
jise milta hai vo pi leta hai saara paani
tishnagi baanT ke har qaum ka rahbar ye kahe
saari duniya men to bahta hai hamara paani
aaj jazbat hain pyase sar-e-qirtas ‘naved’
kar raha hai mujhe har lafz ishara paani
Leave a Reply