• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jo Ba-Kirdar Ho Usko Siyani Kaun Kahta Hai

Jo Ba-Kirdar Ho Usko Siyani Kaun Kahta Hai

jo ba-kirdar ho us ko siyani kaun kahta hai

kisi mazdur ki beTi ko raani kaun kahta hai

bajaT jab saare lag jaa.en vazarat ki hi kursi par

to is tarz-e-ma.ishat ko girani kaun kahta hai

mohabbat ke fasane aaj bhi tahrir hote hain

bahar-e-zindagani ko purani kaun kahta hai

miri naani sunati thi hikayat saat pariyon ki

vo sachche pyaar ki lori suhani kaun kahta hai

nahin miTta miTane se kisi se pyaar ka rishta

mohabbat to haqiqat hai kahani kaun kahta hai

ata umr-e-ravan ne ki hai jo saughat balon ko

utarti chandni ko naujavani kaun kahta hai

sabhi ne ap-biti aur jag-biti kahi lekin

mire andaz se sachchi kahani kaun kahta hai

kuchh aise log hote hain jo mar ke bhi nahin marte

hain jin ke naam zinda un ko faani kaun kahta hai

jo mere lab nahin kahte mire ash.ar kahte hain

jo dil tahrir karta hai zabani kaun kahta hai

‘sabila’ apne gham ko main chhupa leti to huun lekin

girati hain jo ankhen un ko paani kaun kahta hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

KHayal Hai Ki Haqiqat Hai Ya Fasana Hai

Ishq Shoala Na Husn Shabnam Hai

Wo Kyun Na ruThta Maine Bhi to KHata Ki Thi

Ek Aisa Waqt Bhi Sahra Mein Aane Wala Hai

Meri Har Soch Mein Poshida Kahani Uski

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet