asir-e-dasht-e-bala ka na majra kahna
tamam puchhne valon ko bas dua kahna
ye kahna raat guzarti hai ab bhi ankhon men
tumhari yaad ka qaa.em hai silsila kahna
ye kahna ab bhi sulagta hai jism ka chandan
tumhara qurb tha ik shola-e-hina kahna
ye kahna chand utarta hai baam par ab bhi
magar nahin vo shab-e-mah ka maza kahna
ye kahna masnad-e-shaḳh-e-numu pe tha jo kabhi
vo phuul surat-e-ḳhushbu bikhar gaya kahna
ye kahna qarya-e-jan men hain dam-ba-ḳhud sab log
tamam shahr hua maqtal-e-nava kahna
ye kahna hasrat ta.amir ab bhi hai dil men
bana liya hai makan to makan-numa kahna
ye kahna ham ne hi tufan men Daal di kashti
qusur apna hai dariya ko kya bura kahna
ye kahna ho ga.e ham itne maslahat-andesh
chale jo lu to use abhi ḳhunuk hava kahna
ye kahna haar na maani kabhi andheron se
bujhe charagh to dil ko jala liya kahna
ye kahna tum se bichhaḌ kar bikhar gaya ’tishna’
ki jaise haath se gir jaa.e a.ina kahna
Leave a Reply