dil toḌ kar vo dil men pashiman hua to kya
ik be-niyaz-e-naz pe ehsan hua to kya
apna ilaj-e-tangi-e-dil vo na kar sake
mera ilaj-e-tangi-e-daman hua to kya
jab bal-o-par hi nazr-e-qafas ho ke rah ga.e
sehn-e-chaman men shor-e-baharan hua to kya
ik umr rakh ke ruuh miri tishna-e-nashat
ab naghma-e-hayat par-afshan hua to kya
jab mere vaste dar-e-mai-ḳhana band hai
sahba men gharq alam-e-imkan hua to kya
TuuTe paḌe hain saz-e-mohabbat ke taar taar
ab shahid-e-ḳhayal ghazal-ḳhvan hua to kya
aadam ne ek ḳhosha-e-gandum ko kya kiya
mujrim kabhi jo bhuuk se insan hua to kya
‘vamiq’ ki tira-baḳhti ka aalam vahi raha
zulmat-kade men chashma-e-haivan hua to kya
Leave a Reply