• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kaam Ki Baat Maine Ki Hi Nahin

Kaam Ki Baat Maine Ki Hi Nahin

kaam ki baat main ne ki hi nahin

ye mira taur-e-zindagi hi nahin

ai umiid ai umid-e-nau-maidan

mujh se mayyat tiri uThi hi nahin

main jo tha us gali ka mast-e-ḳhiram

us gali men miri chali hi nahin

ye suna hai ki mere kuuch ke ba.ad

us ki ḳhushbu kahin basi hi nahin

thi jo ik faḳhta udaas udaas

sub.h vo shaḳh se uḌi hi nahin

mujh men ab mera ji nahin lagta

aur sitam ye ki mera ji hi nahin

vo jo rahti thi dil-mohalle men

phir vo laḌki mujhe mili hi nahin

ja.iye aur ḳhaak uḌa.iye aap

ab vo ghar kya ki vo gali hi nahin

haa.e vo shauq jo nahin tha kabhi

haa.e vo zindagi jo thi hi nahin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sufi

Khwast Shahid Mai-Parastam Yallale

Shuur-E-Nau-Umr Hun Na Mujhko Mata-E-Ranj-O-Malal Dena

Ganw Ki Aankh Se Basti Ki Nazar Se Dekha

Kyun Har Uruj Ko Yahan aaKHir Zawal Hai

Jo Ab Jawan Hai Wo Azm-E-Jawan Rahe Na Rahe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet