kaha kis ne ki gham-ḳhvari karega
vo banda bas adakari karega
zamin-e-dil pe boya karb us ne
main samjha tha ki dildari karega
main us ke lab pe ghazlen kah raha huun
use kahna sada-kari karega
utarunga ye poshak-e-siyah kab
ye dil kab tak aza-dari karega
amaan ho jaan ki zill-e-ilahi
tujhe barbad darbari karega
jo sar mansub hoga daar se ab
qabile ki vo sardari karega
usi ke bachchon ko chhanv milegi
yahan ab jo shajar-kari karega
Leave a Reply