phiri si dekhta huun is chaman ki kuchh hava bulbul
tujhe fursat hai jab tak ashiyan yaan se utha bulbul
tu ashiq hai vafa tera hunar hai ishq men varna
mira gul be-vafa hai kya ise qadr-e-vafa bulbul
dar-e-rahmat khuda ka baaz hai dil apna taaza rakh
qafas men hasrat-e-gul se mat itna phadphada bulbul
tujhe ai baghban ik musht-e-par se kya adavat hai
bahar akhir hai do din men kuja gul phir kuja bulbul
khizan-e-shum ye gulshan ke haq men kya qayamat hai
ki is ke aate hi be-barg ho gul be-nava bulbul
dil asuda na paaya kya khizan aur kya bahar is ko
mohabbat men rakhe hai turfa dard-e-be-dava bulbul
bhara hai neamat-e-alvan se gul ka khvan go ‘hasrat’
kare har subh uth kar khun-e-dil se nashta bulbul
Leave a Reply