is daur-e-afiyat men ye kya ho gaya hamen
patta samajh ke le uḌi vahshi hava hamen
patthar bane hain ijz bayanon ke samne
taḳhliq-e-fan ka ḳhuub mila hai sila hamen
ham ko tulu-e-sub.h-e-baharan ki thi talash
is jurm ki saza hai ye zanjir-e-pa hamen
ye daur-e-tez-gam bhi hai un se be-ḳhabar
vo manzilen jo de ga.iin apna pata hamen
rah-e-talab simaT ke qadam chumne lagi
jab bhi koi harif-e-safar mil gaya hamen
zulmat ka daur kuchh bhi sahi satr-posh tha
kab raushni ne jeb-o-gareban diya hamen
pas-manzar-e-bahar se ham be-ḳhabar na the
raas aa saki na ḳhanda-e-gul ki sada hamen
ham ko to nazr-e-sail hue umr ho ga.i
kashti men DhunDhta hai magar naḳhuda hamen
Leave a Reply