ajiib thi vo ajab tarah chahta tha main
vo baat karti thi aur khvab dekhta tha main
visal ka ho ki us ke firaq ka mausam
vo lazzaten thiin ki andar se tutta tha main
chadha hua tha vo nashsha ki kam na hota tha
hazar baar ubharta tha dubta tha main
badan ka khel thiin us ki mohabbaten lekin
jo bhed jism ke the jaan se kholta tha main
phir is tarah kabhi soya na is tarah jaaga
ki ruuh niind men thi aur jagta tha main
kahan shikast hui aur kahan sila paaya
kisi ka ishq kisi se nibahta tha main
main ahl-e-zar ke muqabil men tha faqat shaer
magar main jiit gaya lafz harta tha main
Leave a Reply