• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kisi Ke Hijr Mein Qurban Raat Karte Hue

Kisi Ke Hijr Mein Qurban Raat Karte Hue

kisi ke hijr men qurban raat karte hue

kaTa hai vaqt sitaron se baat karte hue

vo kya Darega na.i vardat karte hue

hamen guzarna hai ḳhud ehtiyat karte hue

kisi ke ḳhvab uTha.e kisi ki ankhon ne

kisi ko dekha hai palkon ko haath karte hue

ye rah-e-ishq hai is men bala ki phislan hai

sambhal sambhal ke chalo ehtiyat karte hue

bata.un kya ki main pahuncha huun kis tarah tum tak

na-mumkinat ko bhi mumkinat karte hue

vo ek chand ki jis ko zamin pe laana hai

nikal raha huun main galiyon men raat karte hue

mubahison se bahut tang aa gaya hai ‘pavan’

suna de ab tu saza iltifat karte hue

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

nazeer-akbarabadi

Mahadew-Ji Ka Byah

akhgar-mushtaq-raheem-aabadi

Hangama-e-Afat Idhar Bhi Hai Udhar Bhi

Jo Yahan Hazir Hai Wo Misl-E-Guman Maujud Hai

Hamin the Jaan-E-Bahaaran Hamin the Rang-E-Tarab

Tere Hisse Ka Bach Gaya Hai Kuchh

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet