ḳhuddari-e-hayat ko rusva nahin kiya
ham ne kabhi zamir ka sauda nahin kiya
jaan se aziiz tha hamen dastar ka vaqar
zalim ko sar to de diya sajda nahin kiya
phir lab pe tere kalma-e-afsos kis liye
main ne to tere jabr ka shikva nahin kiya
manDla raha hai aaj jo sahil ke ird-gard
tufan ko to tum ne ishara nahin kiya
us ke ruḳh-e-jamil ke aa.e jo ru-ba-ru
mahtab aisa charḳh ne paida nahin kiya
garche mire qalam ke ḳharidar kam na the
mere zamir hi ne gavara nahin kiya
Leave a Reply