ye gham bhi hai ki tere pyaar ka da.ava nahin karta
ḳhushi bhi hai ki apne-ap se dhoka nahin karta
agar main ne tujhe duniya pe qurban kar diya to kya
yahan insan jiine ke liye kya kya nahin karta
jo un sone ki dahlizon pe ja kar ḳhatm hoti hain
main un galiyon se ab tera pata puchha nahin karta
vo jis par tu ne do dil ek navak se guzare the
main ab us peḌ ke saa.e men bhi baiTha nahin karta
main apne-ap ko DhunDunga apni shakl ke andar
main apni be-dili ka aa.ina maila nahin karta
main apne jism ke sahil pe teri aarzu likkhun
yaqin ho gar ki paani ret se guzra nahin karta
Leave a Reply