• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mil Mil Ke Doston Ne Wo Di Hai Dagha Mujhe

Mil Mil Ke Doston Ne Wo Di Hai Dagha Mujhe

mil mil ke doston ne vo di hai dagha mujhe

ab ḳhud pe bhi nahin hai guman-e-vafa mujhe

uf ibtida-e-shauq ki ma.asum justuju

har phuul tha chaman men tira naqsh-e-pa mujhe

ai khinchne vaale dekh miri be-panahiyan

aati hai dushmanon se bhi bu-e-vafa mujhe

duniya tumhen aziiz hai mere siva magar

aalam hai na-pasand tumhare siva mujhe

karti nahin ubuur tumhen meri justuju

kya kar diya hai tum ne ye kya ho gaya mujhe

vaz.an bhi hans paḌa huun to phir dil se muddaton

aa.i karahne ki sada par sada mujhe

phir baat baat men hai lachak iltifat ki

kya phir dikhaoge koi ḳhvab-e-vafa mujhe

ye hai fughan ka zor to phir vo chuka qafas

kar degi meri sho.ala-nava.i riha mujhe

kotahi-e-nazar se ahata na ho saka

milne ko yuun mila hai buton men ḳhuda mujhe

meri vafa pe aap hi chin-bar-jabin nahin

main ḳhud bhi sochta huun ye kya ho gaya mujhe

jis mudda.a-e-shauq ki daryaft hain huzur

mayus kar raha hai vahi mudda.a mujhe

ik ziiq ik azaab ik andoh ik taḌap

tum ne ye dil ke naam se kya de diya mujhe

un ko ganva ke haal raha hai ye muddaton

aaya ḳhayal bhi to baḌa gham hua mujhe

iflas ke shabab-e-muqaddas men barha

aaya hai puchhne mire ghar par ḳhuda mujhe

‘ehsan’ apne vaqt pe maut aa.egi magar

jiine ka mashvara nahin deti faza mujhe

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sada Hai Garche Lauh-E-Basarat Bahaal Rakh

shad-azimabadi

Na dil Apna Na Gham Apna Na Koi Gham-Gusar Apna

Jab Chaha Iqrar Kiya Hai Jab Chaha Inkar Kiya

Samajh Saka Na Koi Raaz-E-Husn Begana

poet

Hai Teri Hi Kaenat Ji Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet