Raunaq baDhegi Ru-E-Nashat-E-Jamal Ki

raunaq baḌhegī rū-e-nashāt-e-jamāl kī

thoḌī sī gard Daal do is par malāl kī

detī rahī fareb unheñ bhī tirī vafā

āġhāz meñ bhī jin ko ḳhabar thī ma.aal kī

ab is maqām par hai mirī zindagī jahāñ

kaifiyyat ek sī hai nashāt o malāl kī

allāh-re jazb-e-dīd ki ahl-e-nigāh se

ḳhud husn bhiik maañg rahā hai jamāl kī

dil phir bhī aa gayā ġham-e-daurāñ ke pher meñ

har-chand maslahat ne baḌī dekh-bhāl kī

phūloñ kī dilkashī ho ki tāroñ kī raushnī

parchhā.iyāñ haiñ sab mire husn-e-ḳhayāl kī

Leave a Comment