haath rakhte hi tha hal-e-qalb-e-muztar aina
dast-e-nazuk hai hasinon ka muqarrar aina
ban gaya ghammaz shakl un ki dikha kar aina
jo hamara raz-e-dil tha ab hai un par aina
tod kar dil tum ne khoya imtiyaz-e-husn bhi
ik tumhare paas tha ya ab hai ghar ghar aina
dekhna hai kis men achchhi shakl aati hai nazar
us ne rakkha hai mire dal ke barabar aina
aaina rakkho lo ki duuna lutf aae vaqt-e-ranj
is taraf tum us taraf khinche ho khanjar aina
aks se apne kisi ke garm-joshi qahr thi
rah gaya akhir pasine men naha kar aina
shauq-e-khud-bini sitam ninden javani ki ghazab
be-khabar sote hain vo rakkha hai munh par aina
shokhiyon se ban gaya bijli kisi ka aks bhi
ab to hathon se nikalta hai tadap kar aina
yuun kahan mumkin tha husn-e-khas ka didar-e-am
ban gai akhir sarapa subh-e-mahshar aina
dekh len shayad ‘nazar’ vo dida-e-insaf se
le chalo tuute hue dil ka bana kar aina
Leave a Reply