har intiḳhab yahan mazi-o-aqab ka hai
saval mera nahin hai mire nasab ka hai
shu.ur-e-lauh-o-qalam se zuhur-e-mahfil tak
har ek be-adabi par libas adab ka hai
na koi daad na tahsin sirf ḳhamoshi
mire suḳhan pe tera tabsira ghazab ka hai
ho ek fard to ho fard-e-jurm bhi aayad
sitamgari to yahan karobar sab ka hai
uga nahin koi suraj mire muqaddar ka
dinon pe jaise musallat itaab shab ka hai
tamam zahmaten mere gunah ke saa.e
tamam rahaten in.aam mere rab ka hai
zafar ghazal hai ki zaḳhmon ki hashiya-bandi
na ḳhal-o-ḳhat ka koi tazkira na lab ka hai
Leave a Reply