sahab dilon se raah men ankhen mila ke dekh
rakhta hai tu bhi dil to use aazma ke dekh
pahchanne ki pyaar ko koshish kabhi to kar
ḳhud ko kabhi to apne badan se haTa ke dekh
ya lazzaton ko zahr samajh aur duur rah
ya sho.ala-e-gunah men daman jala ke dekh
har-chand reg-zar sahi zindagi magar
pal-bhar ko apne jism ka jaadu jaga ke dekh
saa.e ki tarah saath chalegi koi sada
sunsan jangalon men akele bhi ja ke dekh
Leave a Reply