na parda kholiyo ai ishq gham men tu mera
kahin na samne un ke ho zard ru mera
tum apni zulf se puchho miri pareshani
ki haal us ko hai maalum hu-ba-hu mera
agarche laakh rafu-gar ne dil kiya behtar
ye jab bhi ho na saka zakhm-e-dil rafu mera
faqat vo is liye aate hain janib-e-zindan
ki phans ke ghutne lage tauq men gulu mera
nishana tir-e-nigah ka ba-dil karun ‘arif’
ladae aankh agar mujh se jang-ju mera