hijr ki shab hai aur ujala hai
kya tasavvur bhi lutne vaala hai
gham to hai ain-e-zindagi lekin
gham-gusaron ne maar daala hai
ishq majbur o na-murad sahi
phir bhi zalim ka bol-bala hai
dekh kar barq ki pareshani
ashiyan khud hi phunk daala hai
kitne ashkon ko kitni aahon ko
ik tabassum men us ne dhala hai
teri baton ko main ne ai vaaiz
ehtiraman hansi men taala hai
maut aae to din phiren shayad
zindagi ne to maar daala hai
sher naghma shaguftagi masti
gham ka jo ruup hai nirala hai
laghzishen muskurai hain kya kya
hosh ne jab mujhe sambhala hai
dam andhere men ghut raha hai ‘khumar’
aur charon taraf ujala hai
Leave a Reply