Dubta huun jo haTata huun nazar paani se
aur takta huun to chakrata hai sar paani se
chand bhi ab nikal aaya ufuq-e-ab ke paar
mere gharqab badan tu bhi ubhar paani se
nama-bar koi nahin hai to kisi lahr ke haath
bhej sahil ki taraf apni ḳhabar paani se
ye bhi kya kam hai ki Tiile to hue kuchh hamvar
banti jaati hai na.i rahguzar paani se
nahin ma.alum ki bah ja.un main kab ḳhas ki tarah
yuun to mahfuz abhi tak huun ‘zafar’ paani se
Leave a Reply