tiri tasvir se rahmat barasti hai guru-nanak
kare tarif teri kis ki hasti hai guru-nanak
hamen ummid hai jaati rahegi teri koshish se
hamare mulk men jo tang-dasti hai guru-nanak
mitaya naqsh tu ne dahr se batil parasti ka
tire dam se zuhur-e-haq barasti hai guru-nanak
mukhalif ko tire kyunkar bulandi-e-maratib ho
baghavat se natija us ka pasti hai guru-nanak
kharidari na ho kyunkar tire bazar-e-talqin men
najat-o-maghfirat ki jins sasti hai guru-nanak
banaegi muridon ko tire be-khauf mahshar men
sharab-e-nab-e-vahdat se jo masti hai guru-nanak
hisab-e-roz-e-mahshar se nahin kuchh ‘barq’ ko khatra
jo teri yaad is ke dil men basti hai guru-nanak
Leave a Reply