main apne aap ko rokun kahan tak
fughan jaati hai meri la-makan tak
tire qadmon ki aahat gunjti hai
vahin tak main gai huun tu jahan tak
nazara bhi hasin tha qurbaton ka
dhanak phaili zamin se asman tak
jahan pe tirgi bhi raushni ho
kabhi dekha hai tum ne kya vahan tak
Leave a Reply