apni ankhen jo band kar dekhun
sabz khvabon ka main safar dekhun
dubne ki na tairne ki khabar
ishq-dariya men bas utar dekhun
baad us ke nahin khabar kya hai
aaine tak to chashm tar dekhun
dil men bajta hua dhadakta hua
apni tanhai ka gajar dekhun
bain karti hui baharon men
khud men ik shor-e-khair-o-shar dekhun
khvab ki lahlahati vaadi men
khushbuon se bana nagar dekhun
asman le raha hai angdai
titliyon ke nagar men dar dekhun
mauja-e-gul ke haath men lipti
‘asima’ dasht ki khabar dekhun
Leave a Reply