qarib maut khaḌi hai zara Thahar jaao
qaza se aankh laḌi hai zara Thahar jaao
na jaao tum abhi taron ka dil dhaḌakta hai
tamam raat paḌi hai zara Thahar jaao
bujhe bujhe se sitare thaki thaki si nigah
baḌi udaas ghaḌi hai zara Thahar jaao
nahin umiid ki ham aaj ki sahar dekhen
ye raat ham pe kaḌi hai zara Thahar jaao
‘hayat’ ka dam-e-aḳhir nahin hai jan-e-hayat
ye faisle ki ghaḌi hai zara Thahar jaao
Leave a Reply