tumhare astan tak aa ga.e hain
zamin se asman tak aa ga.e hain
jinhon ne phunk Daala hai chaman ko
vo sho.ale ashiyan tak aa ga.e hain
ḳhudaya ḳhair mere gulsitan ki
ki ab naghme fughan tak aa ga.e hain
na puchho marhalon se kaise guzre
ye dekho ham kahan tak aa ga.e hain
jinhen ḳhud DhunDhti thi un ki manzil
vo gard-e-karvan tak aa ga.e hain
na hona chahiye tha jin ka iz.har
vo shikve ab zaban tak aa ga.e hain
miri barbadiyon ke tazkire bhi
tumhari dastan tak aa ga.e hain
ḳhudaya ḳhair ho ab un ke jalve
nazar ke imtihan tak aa ga.e hain
jafa ke silsile bhi hote hote
miri tab-o-tavan tak aa ga.e hain
ma.az-allah daur-e-be-yaqini
yaqin vaale guman tak aa ga.e hain
salam ai gardish-e-dauran ki ham to
dar-e-pir-e-mughan tak aa ga.e hain
Leave a Reply