• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Abru Ki Teri Zarb-E-do-dasti Chali Gai

Abru Ki Teri Zarb-E-do-dasti Chali Gai

poet

abru ki teri zarb-e-do-dasti chali gai

jitni kasai saif ye kasti chali gai

pesh-e-nazar hasinon ki basti chali gai

aine ki bhi husn-parasti chali gai

achchha kiya sharab khuda ne haram ki

rindon ke saath bada-parasti chali gai

kis shahr se misal duun aqlim-e-ishq ko

jitni ye ujdi aur bhi basti chali gai

roze mah-e-siyam men tode sharab se

ham faqa-maston ki vahi masti chali gai

vahshat-kade se rahmat-e-haq ne bhi ki gurez

badle hamare ghar se barasti chali gai

khain khuda ki raah men lakhon hi thokaren

ta-la-makan bulandi-o-pasti chali gai

maston ne tark-e-mai ki qasam khaai hai to kya

tauba kahan vo baat jo masti chali gai

in abruon ne ek ishare men jaan li

yak-dast teri tegh-e-do-dasti chali gai

dil hi gaya to kaun buton ka kare khayal

kaabe ke saath sang parasti chali gai

hai asman tak tire giryan ka mazhaka

bijli bhi rote dekh ke hansti chali gai

go dil ke badle daulat-e-duniya-o-din mili

to bhi ye jins haath se sasti chali gai

dagh-e-sharab daman-e-taqva men rah gaya

nashshe ko ruh-e-shaikh tarasti chali gai

tahtus-sara ko pahunchi hamari farotani

ham jitne past ho gae pasti chali gai

kyuun kar ho ijtima-e-naqizain ai ‘munir’

aate hi maut ke miri hasti chali gai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Badan Ko Phunkti Hain Naghma-KHwaniyan Pyare

akhlaque-bandvi

Wahi Hai Gardish-e-dauran Wahi Lail-O-Nahaar Ab Bhi

Nigah-E-Mast-E-Saqi Ka Salam Aaya to Kya Hoga

Sufi

Na-didam Az Jahan Az Kis Wafae

Kuchh to Mohabbaton Ki Wafaen Nibhaun Main

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet