• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ai Meri Jaan Hamesha Ho Teri Jaan Ki Khair

Ai Meri Jaan Hamesha Ho Teri Jaan Ki Khair

nazeer-akbarabadi

ai miri jaan hamesha ho tiri jaan ki khair

nazuki daur-e-bala, husn ke saman ki khair

raat din shaam sahar pahar ghadi pal saaat

mangte jaati hai ham ko tiri aan aan ki khair

mehndi choti ho sivai ho chamak peti ki

umr choti ki badi zulf-e-pareshan ki khair

be-tarah bojh se jhumkon ke jhuke padte hain

kiijo allah tu un jhumkon ki aur kaan ki khair

paan khaya hai to is vaqt bhi lazim hai yahi

ek bosa hamen diije lab-o-dandan ki khair

aankh utha dekhiye aur dekh ke hans bhi diije

apne kajal ki zakat aur misi-o-pan ki khair

pahle jis aan tumhari ne liya dil ham se

ab talak mangte hain dil se ham us aan ki khair

kya ghazab nikle hai ban-than ke vo kafir yaaro

aaj hoti nazar aati nahin iman ki khair

jitne mahbub pari-zad hain duniya men ‘nazir’

sab ke allah kare husn ki aur jaan ki khair

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

shahryar

Aakhiri Sans

Tere Bazuon Ka Sahaara to Le Lun Magar in Mein Bhi Rach Gai Hai Thakan

Harf-E-Kun Shah-E-Rag-E-Hu Mein Gum Hai

Jab Se Jaana Hai Gham-E-Zist Se Hasil Kya Hai

ismail-merathi

Hai Jaan-E-Hazin Ek Lab-E-Ruh-Faza do

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet